Growing up · Life

Kahaani

 

Kahaani likhna

Kahaaniya toh bohot hai is duniya mein. Banane ke kiye. Banne ke liye intezaar karti hui. Par kaun janta hai ki kya sach aur kya jhoot hai.

Uss chalte hue musaafar ko kya gum hai?

Main kaun hoti hoon kahaaniya banane waali. Jab har insan ki apni hi ek katha hai, joh intezaar kar rahi hai khulne ke liye. Jo dastaan abhi bayaan honi baaki hai.

inn nadhiyoon ko uss samundar se kaun milaye, jab raste raste par dhundle khwaab hai. Kiss muh se aap likhna chaye jab har shabd mein ek mulaakat hai. Ek jhoothi baat hai.

Kyoon inn massomo ki armano ka istemaal ho, apne matlab ke liye. Likhte likhte paisa kamaane ke liye. Inn par adam rakh kar, aage badne ke liye.

Kya bhala dar denge hum, in be-gharo ko takhte hue. inn par kahaaniya baanate hui. Jab inka zarha zarha hi barbaad hai. Kya bhala kar denge hum, iss dukh bhari kahaani ko bataate hue, jab padhne waala bhi apni zindagi ke gammo ka shikar hai.

Kahaaniya toh bohot hai iss duniya mein. Banane ke liye. Batane ke liye. Lekin har likhne, padne, waalo ki bhi aapni zubaan ek khoobsurat dastaan hai.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s