Garjate angaare liye
Main cheer ke duniya chahti hoon
Toofano se tez dorti, dharkano ko sunanna chahti hoon
Inn bandh kamro mein saanse, barbadi ki raah hi chalti hai
Waqt paani ki tarah behta, zindagi yoon hi guzar rahi hai
Kitna hisaab, kitna paisa,
Kitna bhau iss mehnat ka?
Ped ki daali se ab kya banta hai
Phool, kaliyoh ka kon sa ghehna?
Badi company ki badi afsar bhi bano
Shaadi karke, shusheel bhi raho
Duniya toh paiso par naachti hai
Usko kamao, duniya kamao
Par main iss ubharte hue junoon ka kya karu?
Deemak ki tarah mujhe khata hua jo
Bijli ke angaare bahar phek raha hai
Inhi par main chalti rehti,
ab main udhna bhi chahti hoon.
That was Awesome Yar!
Comments are closed.